Tuesday, December 25, 2007

aap kewal muskurake dekhiye



इतना मज़ाक ठीक नहीं ें है गरीब से

जो कुछ मीला है मुझको मीला है नसीब से
पत्थर पडे हैं मुझ पे बड़े ही क़रीब से
जीने को रोटियाँ हैं न मरने को कफ्न है
इतना मज़ाक ठीक नहीं ें है गरीब से
-by himraazz the king of cool

aap kewal muskurake dekhiye

uska duniya mein ooncha bahut naam hai
jiske sar pe mohabbat ka ilzaam hai
tujko pane ki hasrat Ka kayal naheen
ye bahut hai labon per tera naam hai
koi dekhe to saaki ki dariyadili
haath mein mere toota hua jaam hai
uski khatir hi khushiyon ka sooraj uga
jiski taqdeer mein dard ki shaam hai
maut se zindagi ko bachate ho kyon
zindagi maut hi ka to paigam hai
dil ke daaman se bandhi hai humne wafa
too saza bakhsh de ye bhi inam hai
teri mehfil se himraaz kya uth gaya
zare zare ke hothon pe kohraam hai
HIMRAAZ ,THE KING OF COOL
बडी मुद्दत के बाद दोस्तों का प्यार मीला
रेग्जारों में जैसे अब्र का दीदार मीला
मेंने रखी है सदा उनकी तमन्नाओं पे जां
हर लम्हा उनके ख्यालों का ही संसार मीला
जो जा चुके हैं मेरा साथ छोड़ कर यारों
मुझे मीला उन्हीं यारों का इंतज़ार मीला
उनकी खुशियों से ज्यादा अब अजीज क्या होगा
मुस्कुराने का हमें इक नया कीर्दार मीला
दुआ न ेदोस्तों की खींच लीया हर कतरा
न गम का पूछीये मीला तो बार बार मीला
में खुशनसीब हूँ मुझको तुम्हारा साथ मीला
तुम्हारे प्यार में रब का हमें दीदार मीला
चुका न पायेगा हीमराज़ ये नेमतें ये क्रम
माम हसरतें में त्ममें बाँट दूंगा दोस्त
जहेंनसीब जो मुझको ये एतबार मीला
दीवालीयों की सदा ईद मुबारीक हो उन् की
जीनके दम पे ग़ज़ल कहने का इजहार मीला



aap kewal muskurake dekhiye
thoda humse dil laga ke dekhiye
chand lamhon ka saffar hai zindagi
zindagi ka geet gake dekhiye
soch lena jab kabhi fursat mile
ab to sabse mil mila ke dekhiye
maante ho hum bahut yaad ayenge
ek pal hamko bhula ke dekhiye
dost hum tere jahan mein aa gaye
hath mein ek hath lake dekhiye
ye gazal tumne kahee thi bhej di
isko hothon se lagake dekhiye
meri ankhon mein milenge aapko
jaamen ulfat chalchalake dekhiye
fasley rakh kar milenge kab talak
ek din doori mita ke dekhiye
humne mana dil humeen se hai laga
aag dil ki hai bujhake dekhiye
aap kyon nazren jhuka ke aaye hain
ishq hai to sar uthake dekhiye
ye saffar himraaz kitna aur hai
raaston ka rukh hata ke dekhiye
ek bhi saya naheen ab tak mila
dopahar ko chat pe aake dekhiye
dekhna hai gar to ese dekhiye
unka jana muskurake dekhiye
ashq chalkana bada asaan hai
ho sake to gam chipa ke dekhiye
HIMRAAZ.the king of cool

ankhon mein kahaan neend kaheen aati hai,
yaad teri dil ko hi tadpaati hai,

sooni si hai ye zindagi...
raaten meri hain tanha sabhi,
na jaanoo mein kal ki khabar...
gum hai kidhar manzil meri....
bechain jab sans ye ho jaati hai,
dard ki ek bark si lehraati hai......

ankhon mein kahaan neend kaheen aati hai,
yaad teri dil ko hi tadpaati hai

julfen teri theen bikhri huyee
shanon pe tere sar tha kabhi
hathon mein chehra nazaren jhuki thi
bhoole se na bhoola kabhi
kya too kabhi ye manzar bisrati hai
sard hava jab aahen utha lati hai

ankhon mein kahaan neend kaheen aati hai,
yaad teri dil ko hi tadpaati hai,

askq tere aur behte rahe
apni jubaan hum kehte rahe
badla jo mausam bichad gaye hum
patjhar saawan sehte rahe
ab to meri aas bhi ghabraati hai
gam ki andheri raat hi gehraati hai

ankhon mein kahaan neend kaheen aati hai,
yaad teri dil ko hi tadpaati hai...
(by-himraaz,the king of cool)


ek ajnabi ki tarah hum kabhi naheen nikle.
jidhar se nikle sada ban ke dost hi nikle.
gamon ke daur se bhi yoon guzar gaye hum log
na aayee lab pe haseen aur na ashk hi nikle..
zamaane bhar ko mitaane ki baat karte ho..
tumhi bataao ye armaan kya kabhi nikle.
ye teri yaad ka ehsaas hi to hai shayad..
museebton ke saffa se haseen khushi nikle
jidhar bhi dekh raha hoon darind rehte hain,
tumhare shahr se nikle to aadmi nikle..
kisi ke ebb ka charcha bhi to ho yoon himraaz,
kameen kisi ki ho lekin meri kameen nikle..
jo aaye aankh mei ansoon to ek sitaara ho
,tumhaare lab ka tabassum bhi ek kali nikle..
jo mere saath rahe har khushi ke aalam mein,
pada jo vakt museebat ka ajnabi nikle....
-HIMRAAZ, THE KING OF COOL



Monday, September 3, 2007

ankhon mein kahaan



ankhon mein kahaan neend kaheen aati hai,
yaad teri dil ko hi tadpaati hai,
sooni si hai ye zindagi...
raaten meri hain tanha sabhi,
na jaanoo mein kal ki khabar...
gum hai kidhar manzil meri....
bechain jab sans ye ho jaati hai,
dard ki ek bark si lehraati hai......
ankhon mein kahaan neend kaheen aati hai,
yaad teri dil ko hi tadpaati hai
julfen teri theen bikhri huyee
shanon pe tere sar tha kabhi
hathon mein chehra nazaren jhuki thi
bhoole se na bhoola kabhi
kya too kabhi ye manzar bisrati hai
sard hava jab aahen utha lati hai
ankhon mein kahaan neend kaheen aati hai,
yaad teri dil ko hi tadpaati hai,
askq tere aur behte rahe
apni jubaan hum kehte rahe
badla jo mausam bichad gaye hum
patjhar saawan sehte rahe
ab to meri aas bhi ghabraati hai
gam ki andheri raat hi gehraati hai
ankhon mein kahaan neend kaheen aati hai,
yaad teri dil ko hi tadpaati hai...
(by-himraaz,the king of cool)

Sunday, August 19, 2007

in chiragon mein sirf baati rahi


jaanta hoon ki tere ishq mein jalna hoga, har kadam pe tujhe paane ko machalna hoga, teri baahon ka sahaara to milega lekin mere kadmon ko abhi aur bhi chalna hoga.
-himraaz.the king of cool
shaame-gam hum pe muskaati rahi
har lamha teri yaad aati rahi
mere ashkon ko tasally dene
ankh se neend tak jaati rahi
dabdabyee ye sirf ankhen meri
haale dil aapko likhaati rahi
aap the door magar nazron se
sard aahen hi dil dukhati rahi
tere aane ki ab bhi hai ummeed
in chiraagon mein sirf baati rahi
-HIMRAAZ ,THE KING OF COOL

Saturday, August 18, 2007

CHALE AAO....


badi bechain nigaahon se intezaar kiya hai dil ne to apko aur aapko hi pyaaar kiya hai
mujse pyaar hai to chale aao...zindagi bekraar hai chale aao.. dard ka nashtar sa chubhta hai..har ghadi intezaar hai chale aao... bahar ki baarish sabne dekhi mere bheetar ek bauchaar hai chale aao... tujse miloonga to baatoonga dard ka gubbar hai chale aao... kaleja muh ko aata hai...dil mera tar-tar hai chale aao... jaane ki ek raah thi ..lautne ki hazaar hain chale aao....

ye dard saha naheen jaata ..ab kuch kaha naheen jaata... badi koshish mein raha jee loon tere bin ..lekin tujh bin raha naheen jaata... kisse kahoon ye dil ki baat kaise kahoon mein is dil ki baat tujhe dhoondne himraaz kahaan naheen jaata....
HIMRAAZ,THE KING OF COOL

HAZAARON GUM HAIN


TUJHKO PAANE KE RAASTE MEIN HAZAARON GAM HAIN,
EK AGAR TOO HI NAHEEN JAAN TO FIR KYA HUM HAIN,
TERI YAADON KE SAHAARE SE YE ANKHEN NAM HAIN.....

MERE ANSOON BHI TO KUCH DARD UGALTE KAM HAIN....
CHEER KE RAKH DOON MERI JAAN JIGAR TERE LIYE ..

AAKHIRI SAANSE HAIN SEENE MEIN AKHIRI DAM HAIN...
EK NAHEEN TOO JO MERI JAAN TO FIR KYA HUM HAIN

.....teri yaadon ke siva...


.....teri yaadon ke siva kuch naheen aukaat meri..too.. too.mujhe bhool bhi jaye to koi baat naheen, gam ki mehfl mein harek sham guzara hogi.. kya hua ab agar taaron ki vo baarat naheen.. jab se ek husn ka deedaar kiya hai dil ne sach kahoon ab talak esi to hanseen raat naheen, tumne is dil ko dosti ki saza de daali, isse behatar meri khushiyon ki ab barsaat naheen.... mein likhta rahoonga dost ab tumhare liye ...badha na doge dosti ka jab tak haath naheen... teri yaadon ke siva ....